Friday 29 November 2013

Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!

Ab Tou Mumkin Hi Nahin Un Sey Mulaqaat!
Ab Tou Urooj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat!

Wohi Waadey Hain or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi!
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!


Tuesday 26 November 2013

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!
Na Kisi Ki Yaad Aati Hai!!

Magar Ye Dusra Misraa,
Zara Saa Jhoot Lagta Hai!!


Saturday 23 November 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



Friday 22 November 2013

Wednesday 20 November 2013

Mat Socho!

Aur us ne
Mere saghar me
Mae surkh undeli  to kaha
                    mat socho!

Tum yahan aye ho
Is mulk ke
Is sheher ke
Is hajla e taskeen me jahan
Sab ke sab raqsan kunan
Naghma e balb
Mast ada
mat socho!
Jagti rat
Ke chehre pe he khushbu ki rida
                     mat socho!


Tum bhi kia log ho
Perdais bhi aatey ho
To le aatey ho
Beemar shab o roz o dil e figar
Azizan e watan ki yaden

Apni zholida o bosida qamizon ki tarha
Jin ke dhabbon ko
Khud kar machinen bhi nahin dho saktin

Ye jo zangar hen ghurbat ke
Khud azar jo tarikiyan zehnon ki hen
Aalaishen jismon ki hen
Is tarha sanbhale huey phirtey ho
Ke jese ye tmhare dil o jaan hon
Is ghari tum ho jahan
Mumlikat khawab nahin
Yaan kisi soch ka gurdab nahin
Zindagi mae ki tarha
Shokh he tarrar he zehrab nahin

Apne kashkol ko dehleez per rakh ao
ke dre waza gari
Is jaga shamil e adaab nahin
Mat socho!