Saturday, 23 November 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



No comments:

Post a Comment