Friday, 17 January 2014

Zarey Sarkash Huey, Kehne Me Hawaen Bhi Nahin!!

zarey sarkash huey, kehne me hawaen bhi nahin
aasmanon pe kahin tang na ho jae zameen

aa ke dewaar pe bethi thin ke phir ur na sakin
titlian banjh manazir me nazar band huin

pair ki sanson me chirya ka badan khinchta gya
nabaz rukti gai,shakhon ki ragen khulti gaen

toot kar apni uranon se parinde aye
saanp ki aankhen darakhton pe bhi ab ugne lagin

shakh dar shakh ulajhti hen ragen peron ki
saanp se dosti, jangal me na bhatkae kahin

god le li he chatanon ne samandar se nami
jhote phoolon ke darakhton pe bhi khushbuen tikin


No comments:

Post a Comment